VU's POSTPONED PAPERs
Usman Chughtai <[email protected]>
| Newsgroups | gmane.org.students.paistan |
|---|---|
| Message-ID | <[email protected]> |
Salaam aaj main ne vulms par ek announcement parhi jis main likha tha k midterm exams ki datesheet baad main announce ho gi. yeh kya mazaak hai.Vu walay kyon dobara papers le rahay hain ..agar in se sahi manage nahein hoti VU to band kar dein hamara mustakbil jitna tabah hona tha ho gaya ab mazeed na karein.Management karna aata nahein aur VU chala rahay hain aur MBA,MCS jaisay program shuru kar rahay hain k yeh bhi VU se kiye jaein... pehle apni mangement theek karein.Final aane wala hai aur yeh abhi takk midterm ka result i announce nahein kar sakay ulta dobara dene ki baat kartay hain. yaar sab mail karo unhein aur bolo k hum ne dobara koi nahein dena paper..agar sab mil kar paper na dein to kis ka lein gay... kya khayaal hai aap sab ka k dobara dene chaiye ya nahein/?? main to is k khilaaf hon... --------------------------------- Relax. Yahoo! Mail virus scanning helps detect nasty viruses!